पहाड़ की रसोई 50 पारंपरिक व्यंजन — Garhwal aur Kumaon ke
Ab sheher me reh kar bhi apne kitchen me laaiye pahad ka swaad. Gahat ke phaanu se lekar Almora ki Bal Mithai tak — har recipe aasaan Hindi me, step-by-step.
- 50 asli pahadi recipes — daalein, saag, mandua-jhangora, jholi, chutney aur mithaiyan
- Har recipe me saamagri, step-by-step vidhi aur ek "Pahadi Tip"
- Har dish ke saath likha hai — Garhwali hai ya Kumaoni
- Bhatt, gahat, jakhiya, timur, bhangjeera — kya hain, sab samjhaya gaya hai
🔒 Payment Razorpay se — UPI, card, net banking sab chalega. Payment hote hi download button yahin aa jayega.
✅ Payment ho gaya — dhanyavaad!
Apni e-book neeche ke button se download karein:
⬇️ E-book Download KareinYe link 7 din tak chalega (5 baar download). Isi phone par ye page dobara khologe to button yahin milega.
Payment ID: — ise sambhaal ke rakhein. Koi dikkat ho to WhatsApp karein: +91 74560 47617
घर से दूर हैं, पर पहाड़ का खाना याद आता है
Delhi, Dehradun ya Mumbai me baithe-baithe phaanu, kafuli aur jholi ki khushboo yaad aati hai — par banana kisi ne sikhaya hi nahi.
Kahin dahi daalte hain, kahin nahi. Kitna gahat, kitna paani, kab tadka — pakki vidhi ek jagah milti hi nahi.
Gaon se mote anaaj aur masale aa gaye, par usse roti, bhaat ya kheer kaise banegi — ye sawaal reh jaata hai.
Isi liye banayi hai "पहाड़ की रसोई" — 50 pahadi vyanjan, ek hi kitaab me, itni aasaan bhasha me ki pehli baar banane wala bhi bana le.
ये सब आप अपने किचन में बनाएँगे







6 अध्याय, 50 व्यंजन
1दालें, फाणू और रस
गहत का फाणू · चैंसू · भट्ट की चुड़कानी · डुबुक · गहत की दाल · कुमाऊँनी रस · भट्ट का जौला · भट्ट की दाल · पहाड़ी राजमा
2साग और सब्ज़ियाँ
काफुली · आलू के गुटके · थेचवाणी · कंडाली का साग · लिंगुड़े की सब्ज़ी · आलू-टमाटर का झोल · गडेरी की सब्ज़ी · तिमला की सब्ज़ी · लाई का साग · पहाड़ी कद्दू
3रोटी, अनाज और भात
मंडुवे की रोटी · लेसु रोटी · उड़द की बेड़ू रोटी · गहत के पराठे · बाड़ी · झंगोरे का भात · छंछ्या · झंगोरे की खिचड़ी · कौणी का भात
4झोली, रायता और नाश्ते
झोली (पहाड़ी कढ़ी) · पल्यो · कुमाऊँनी रायता · सना हुआ पहाड़ी नींबू · कुमाऊँनी दाल के बड़े · पतूड़ · भट्ट-चूड़ा चबैना
5चटनी और पिस्यूँ लूण
भांग की चटनी · तिल की चटनी · भंगजीरे की चटनी · तिमूर की चटनी · पिस्यूँ लूण (हरा नमक) · दाड़िम की चटनी
6मिठाइयाँ, त्योहारी पकवान और पेय
अरसा · बाल मिठाई · सिंगोड़ी · झंगोरे की खीर · रोट · सिंगल · कुमाऊँनी पुए · स्वाले · बुरांश का शरबत
Saath me: Pahadi Rasoi ka Saamaan (pantry guide) · Maap aur zaroori baatein (cup, chammach, bhigona) · Pahadi Shabdkosh
Kharidne se pehle andar ke page dekh lijiye




अगर आप इनमें से कोई हैं, तो ये किताब आपकी है
Jo Delhi, Dehradun, Chandigarh ya Mumbai me rehte hain aur ghar ka khana miss karte hain.
Jo ija-boiji ke pakwaan seekh kar aage ki peedhi tak pahunchana chahte hain.
Jo apne menu me asli pahadi thali aur pakwaan jodna chahte hain.
Jo Uttarakhand ka khana pehli baar ghar par banakar dekhna chahte hain.
3 step me e-book aapke phone me
"Abhi Khareedein" dabaiye
Razorpay ka payment box khulega — UPI, card ya net banking chuniye.
₹199 pay kariye
Payment poora hote hi website khud check karti hai ki paisa aa gaya.
Download kariye
Usi page par download button aa jata hai. PDF phone ya computer me save kar lijiye.
Aksar pooche jaane wale sawaal
Ye kitaab kis bhasha me hai?
Poori kitaab aasaan Hindi me hai. Har dish ka naam aur saamagri ka English naam bhi saath me diya gaya hai (jaise गहत = Horse gram).
Saamagri kahan milegi? Main pahad me nahi rehta.
Zyaadatar saamagri online ya kisi bhi pahadi dukan par mil jaati hai. Kitaab ke "Pahadi Rasoi ka Saamaan" page par har cheez ka matlab aur pehchaan di gayi hai. Jakhiya, timur, bhang ke beej jaise masale aap hamare Pahadi Spices page se bhi mangwa sakte hain.
Maine kabhi pahadi khana nahi banaya — kya main bana paunga?
Haan. Har recipe 4–7 chhote step me likhi hai, aur shuru me cup, chammach, bhigona, biswar jaisi zaroori baatein samjhayi gayi hain. Har recipe 4 logon ke hisaab se hai.
Kya kitaab ghar par chhapi hui aayegi?
Nahi, ye digital PDF hai. Koi courier/delivery nahi hoti — payment ke turant baad download ho jaati hai. Mobile, tablet ya computer kisi par bhi khulti hai, aur apne ghar ke istemaal ke liye aap ise print bhi kar sakte hain.
Payment ho gaya par download button nahi aaya?
Ghabraiye mat. Apni Payment ID (Razorpay ke SMS/email me hoti hai) ke saath WhatsApp kariye — +91 74560 47617. Hum check karke link bhej denge.
Refund milega?
Digital product hone ki wajah se download hone ke baad refund nahi hota. Agar payment kat gaya aur file nahi mili, to poori madad ki jayegi ya paisa wapas kiya jayega.
Is Sunday ghar me banaiye pahadi thali
50 pakwaan, ek kitaab, sirf ₹199 — ek baar khareedo, hamesha phone me.